Sunday, July 29, 2007

Invocation to God--Bhagwan kee Stuti

Invocation Of God ---- Bhagwan Kee Stuti
( Excerpt From Shri Maithali Sharan Gupt’s Jaydrath Badh )

Ho nirvakar tathapi tum ho, bhakt vatsal sarvada,
Ho tum nirih tathapi , adbhut shrishta rachate ho sada.
Akarheen tathapi tum, sakar satat sidh ho,
Sarvesh hokar bhee sada tum prem vashya prasidh ho.

Karte tumhara hee manan muni rat tumhee mein rishi sabhee,
Satat tumhee ko dekhtein hein dhyan mein yogendra bhee.
Vikhyat vedon mein vibho sabke tumhee aradhya ho,
Koi na tumse hei badha tum aik sabke sadhya ho.

Pakar tumhein phir or kuch pana na rahata shesh hei,
Pata na jab tak jeev tumko bhatakata savishesh hei.
Jo jan tumahare pad kamal ke asal marm ko jante,
Ve mukti kee bhee kar anichha tuchh usko manate.

Hote tumahare karya sare goorh bhedon say bhare,
Hridayastha ho jo kuch karate ham vahee karte hare.
Anuchit uchit key gyan ka nirnay hamein tum sonp kar,
Bhagee banate dosh guna ka kyon hamein hey pujyavar.

Anuchit uchit key gyan ko kuch bhee nahin ham jante,
Chanchal maha ma rag dweshi key nachaye nachte.
Spasht yah bharpur hae is vishva ka natak mahan,
Yadyapi tumahara hee kiya hei jo jagat mein ho raha.

Banate nahin ho kintu uske tum swayam karan kahin,
Kya hee chatur ho dosh gun karte swayam dharan nahin.
Bahu vigya tatwa gyanion ne bat yah satat kahee,
Bhagwan! Tumhen jo isht hota sarvada hota vahee.

Jo kuch kiya tumne swayam hey dev dev huaa vahee,
Jo kuch karoge tum swayam aage sabhee hoga vahee.
Jo kuch swayam tum kar rahey ho , ho raha hai ab tatha,
Hein hetu matra sadaeev ham karta tumhee ho sarvada.

Hey Sachidanand prabho! tum nitya sarva shakti ho,
Anupam agochar, shubh paratptar eeshwar avayakta ho.
Tum dheaya gyeya ajeya ho nij bhakt par anurakta ho,
Tum bhav vimochan padma lochan punya padma sakta ho.

Tum aik hokar bhee aho rakhate anekon bhesh ho,
Adyantheen achintya adbhut atma bhu akhilesh ho.
Karata tumheen bharta tumheen harata tumheen ho srishti ke,
Charon padartha dayanidhe phal hein tumaharee drishta ke.

Hey Eesh ! bahu upkar tumne sarvada ham par kiye,
Upkar pratupkar mein kya dein tumhe iske liye.
Hei kya hamara srishta mein yah sab tumhee se hei bani,
Satat rinee hei ham tumhare tum hamare ho dhani.

Jay deen bandho sokhya sindho dev! dev dayanidhe,
Jay janma mrityu viheen shashvat vishbandhu mahanidhe.
Jay poorna purushottam janardhan jagannath jagatpate,
Jay jay vibho achyut hare mangal maye maya mate.

End




“ Twamev mata cha pita twamevam, twamev bandhushcha sakha twamevam ,
Twamev vidya dravinam twamevam , twamev sarvam mam dev devam.”